Preview

Thousands of incredible audiobooks and podcasts to take wherever you go.
Immerse yourself in a world of storytelling with the Plus Catalogue - unlimited listening to thousands of select audiobooks, podcasts and Audible Originals.
£7.99/month after 30 days. Renews automatically. See here for eligibility.

Family Drama Stories by Delhi Press, Season 8

By: Delhi Press
Narrated by: Malik Mausam-Sabeena
Try for £0.00

£7.99/month after 30 days. Renews automatically.

  • Summary

  • Audible prastut karta hai Family Drama Stories by Delhi Press kahaniyon ka sankalan. Paarivarik sambandh gehre hote hain lekin kaafi naazuk bhi hote hain. Kayi baar ek hi ghar mein rehte huye bhi parivaar ke sadasya ek doosre ko nahin samajh paate. Lagaav ke saath ek doosre ke prati dwesh, gussa aur kadvahat aane lagti hai jab samaajik mulya aur apni soch mein antar hota hai. Shaadi ke baad aksar rishton mein badlaav aane lagta hai aur mahilaon ko ek naye parivaar mein jagah banaane mein dikkat aati hai. Saas-sasur bahu ko kabhi beti ki tarah apna lete hain aur kabhi unko paraaya samajhte hain. Samvedansheel aur manoranjak drishti se paarivarik rishton ko prastut karti yeh kahaniyan ghar, samaaj aur badalte samay ki jhalak deti hain. Har ghar ki kahani vishesh hai, lekin har kahani mein aapko apne ghar ka koi sadasya, apne parivaar ki paristhityan bhi zaroor milengi!
    ©2021 Delhi Press Patra Prakashan (P)2021 Delhi Press Patra Prakashan
    Show More Show Less
activate_Holiday_promo_in_buybox_DT_T2
Episodes
  • दायरे में सिमटी सोच
    Jun 23 2022
    Manorama Devi ke ghar mein 108 brahmanon ko bhojan karaane ki taiyyari chal rahi thi. Halwaai ko Manorama Devi ne keh diya tha ki koi bhi kaarigar neechi jaati ka nahin hona chahiye nahin toh dharma bhrasht ho jayega. Manorama ki bahu ne use samjhaya ki jab prakriti mein suraj, chand, pashu-pakshi aur paudhe koi bhedbhaav nahin karte toh phir insaan bhi sab ek samaan hain. Manorama ko apni galti ka ehsaas ho gaya aur usne gareeb logon ko bhojan karaane ka prabandh kiya.
    Show More Show Less
    9 mins
  • असली पहचान
    Jun 23 2022
    Sasuraal aane par mahila ne dekha ki uske pati ki behen Neelu kaafi ghabrayi rehti hai. Vah bolne mein bhi hakla rahi thi. Vah Neelu ko therapist ke paas le gayi toh usne kaha ki Neelu ka swabhaav kaafi daba hua tha. Haklaane ki wajah se Neelu ka mazaak udaya jaata tha. Mahila ne Neelu ka saath dene ka nishchay kiya aur uski shaadi bhi karaa di. Lekin Neelu ki saas ne use talaq dilwa diya. Kya Neelu apne pairon par khadi ho sakegi?
    Show More Show Less
    14 mins
  • भूख
    Jun 23 2022
    Lajo ek badi colony ke paas basti mein rehti thi. Vah bohot gareeb thi aur bade gharon se milne wala bacha hua khana vah apne ghar le jaati thi. Uss din vah pehle ghar gayi toh wahan navratra ka upwaas chal raha tha isliye ghar mein khana nahin tha. Vah niraash hokar doosre ghar mein gayi lekin wahan bhi kuchh nahin mila. Aakhir use aise ghar mein khana mila jahan uss din kisi ki mrityu huyi thi. Use wahi khana apne bachchon ko khilaana pada.
    Show More Show Less
    11 mins

What listeners say about Family Drama Stories by Delhi Press, Season 8

Average customer ratings

Reviews - Please select the tabs below to change the source of reviews.