Preview

Thousands of incredible audiobooks and podcasts to take wherever you go.
Immerse yourself in a world of storytelling with the Plus Catalogue - unlimited listening to thousands of select audiobooks, podcasts and Audible Originals.
£7.99/month after 30 days. Renews automatically. See here for eligibility.

Crime Stories by Delhi Press, Season 3

By: Delhi Press
Narrated by: Neeraj Yadav
Try for £0.00

£7.99/month after 30 days. Renews automatically.

  • Summary

  • Audible prastut karta hai Crime Stories by Delhi Press ka sankalan. Akhbaar ki surkhiyon mein kayi apraadh ke qisse dil dehla dete hain. Aakhir sach kya hai, koi hadsa kaise hua, uske peechhe kiska haath tha, apraadhi bach kar kaise nikla? Ek ghatna ke peechhe kayi raaz hote hain, chhupi huyi kahaniyan hoti hain aur gupt kadiyan hoti hain. Har kirdaar ki alag maansikta hoti hai, jise samajhne ke liye unki duniya mein jaana padta hai. Hatya, balatkaar, chori, dhokhe ki kahaniyan samaaj ke ek aise pehlu par roshni daalti hain jise samajhna mushkil aur dilchasp bhi. Sansanikhez khabaron ke peechhe romanchak kahaniyan hain jo suljhaana kathin hai. Satya ki talaash mein tehkikaat karte kirdaar aapke saamne kayi sawaal layenge. Yeh kahaniyan aapko apraadh ke uss mod tak le jayengi jahan rahasya ke saath uljhan aur halchal bhi hai. Kya aap sach ki iss khoj mein shaamil hona chaahenge?
    ©2021 Delhi Press Patra Prakashan (P)2021 Delhi Press Patra Prakashan
    Show More Show Less
activate_Holiday_promo_in_buybox_DT_T2
Episodes
  • बहू : कैसे शांत हुई शाहिदा के बदन की गर्मी
    May 26 2022
    Shahida college mein padhti thi aur use wahan ek professor achche lagne lage the. Professor ki patni ki mrityu ho chuki thi aur unhe bhi Shahida ki taraf aakarshan hone laga. Vah dono milne lage aur unke beech sambandh ban gaye. Shahida kuchh anokha upaay chaahti thi toh professor ne apne bete ki shaadi usse kara di. Jab vah honeymoon par gaye toh professor ko aisa laga jaise vah apne hi bete ka dushman ban gaya tha aur vah pareshaan ho gaya.
    Show More Show Less
    15 mins
  • दरिंदे...
    May 26 2022
    Sonali ek yuvti thi, uska ek beta bhi tha. Pados mein 55 saal ka ek aadmi rehta tha jo uski taraf buri nazar se dekhta tha. Sonali kaafi pareshaan thi lekin samajh nahin paa rahi thi ki kya kare. Ek din vah aadmi kisi tarah yojna bana kar ghar ki chhat se ghar ke andar aa gaya. Sonali tabhi naha kar nikli thi aur uss aadmi ne use pakad kar uske saath zabardasti karne ki koshish ki. Kya Sonali bach sakegi?
    Show More Show Less
    12 mins
  • कम्मो

    कम्मो

    Saras Salil
    May 26 2022
    Rajesh ki umr 62 saal thi aur uski patni ki mrityu ho gayi thi. Vah ghar mein akele rehta tha. Usne ek naukrani rakhi jiska naam Kammo tha. Rajesh ko Kammo ke liye aakarshan hone laga, jab bhi vah ghar par kaam karti toh vah use dekhta rehta. Dono ke beech sambandh ban gaye. Ek din Kammo ne bataya ki vah ma banne wali hai. Ab Rakesh ko apni galti ka ehsaas hua, ab vah kya karega?
    Show More Show Less
    17 mins

What listeners say about Crime Stories by Delhi Press, Season 3

Average customer ratings

Reviews - Please select the tabs below to change the source of reviews.