Listen free for 30 days
Listen with offer
-
Veshya [Prostitute]
- Ek Kirdaar [A Character]
- Narrated by: Shashi Chaturvedi
- Length: 2 hrs and 27 mins
Failed to add items
Add to basket failed.
Add to wishlist failed.
Remove from wishlist failed.
Adding to library failed
Follow podcast failed
Unfollow podcast failed
£0.00 for first 30 days
Buy Now for £6.99
No valid payment method on file.
We are sorry. We are not allowed to sell this product with the selected payment method
Summary
Yah sankalan kayi qisson ko samet kar, samaaj ke alag alag pehluon par prakash daalta hai. Kahaniyaan judi huyi hain aur naye nazariye se jeevan ko darshaati hain. Kirdar wahi hain, lekin badalte rehte hain. Kanpur, Lucknow aur Dilli-Noida ke beech kahaniyaan aage badhti hain. Wahi kirdar phir se kahin milte hain, kabhi kho jaate hain, apne jeevan ke ek naye mod par phir ubharte hain aur ek nayi kahani sunaate hain. Kya aap unhe pehchaan payenge, ya zindagi ne unhe badal diya hai?
Chhote sheher ke yuva aur yuvatiyon ke sapne, unki prem kahaniyaan, mata-pita ke saath badalte rishte, padhaai, daftar aur prem ke beech zindagi ke kuchh lamhe, zinda ho jaate hain inn kahaniyon mein. Saamne aati hain kuchh sachhi, samvedansheel jhalkiyaan.
Lekhak inn sabhi kahaniyon ko ek alag nazariye se dekhte hain, kya ismein hum veshya ka kirdar dhoond sakte hain? Rishte bhi toh veshya ka roop le sakte hain, kabhi paise ka moh toh kabhi dil tootne ka dard, kabhi safalta ki daud toh kabhi kareebi dost ka dhokha - sabhi apna kirdar nibha rahe hain aur zindagi se koi samjhauta toh kar hi lete hain. Inn kahaniyon mein aapko kayi aawazein milengi - kuchh roti, kuchh cheekhti, kuchh samjhaati, sambhalti, bikharti. Daftar ke beech pista aadmi, behtar naukri ke peechhe bhaagta vidyarthi, paison ki bhagdaud mein peechhe choot-te rishte, naye sheher ki raunak mein toot-te sapne - yah sab veshya ke anek kirdaar hain. Inmein se shayad koi kirdar aapko apni zindagi mein bhi mile?
Please note: This audiobook is in Hindi.